Saturday, 17 September 2011

Tera Anchal Mohsin Naqvi


Main Dil Pay Jabar Karon Ga


Kabhi Jo cheaer Gae Yad e Raftagan Mohsin


Muhabbat (Mohsin Naqvi)


Ab Ye Sochon To Bhanwar Zehan Main


Awargi (Mohsin Naqvi)


Aj Bhi Tapti Dhop Ka Sehra


Barg e Sehra (Mohsin Naqvi)


Meray Hathon Ki Lakeron Main Ye Aib Hai Mohsin


Talab Ko Ajar Na Don.....


Friday, 16 September 2011

kis ko qaatil maiN kahuuN kis ko masiihaa samajhuuN


kis ko qaatil maiN kahuuN kis ko masiihaa samajhuuN
sab yahaaN dost hii baiThe haiN kise kyaa samajhuuN
vo bhii kyaa din the ke har vah’m yaqiiN hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhuuN
dil jo TuuTaa to ka’ii haath du’aa ko uThThe
aise maahaul meN ab kis ko paraayaa samajhuuN
zulm ye hai ke hai yaktaa terii begaanaaravii
lutf ye hai ke maiN ab tak tujhe apnaa samajhuuN

BAHAR

itnii Khushbuu hai ke dam ghuTtaa hai
ab ke yuuN TuuT ke aayii hai bahaar
aag jaltii hai ke khilte haiN chaman
rang shoalaa hai to nikhat hai sharaar
ravishoN par hai qayaamat ka nikhaar
jaise taptaa ho javaanii kaa badan
aablaa ban ke tapakTii hai kalii
kopaleN phuuT ke lau detii haiN
ab ke gulshan meN sabaa yuuN bhii chalii

aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa


aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !
kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh
phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa
jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa
qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii
us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa
ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !
ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa
uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN
pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa
hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa
kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii
ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa
shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa
qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
taa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa
manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa
jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa
andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii
us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa
aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa
apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log
“Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa

kartaa huN jam’aa maiN to bikhartii hai zaat aur


kartaa huN jam’aa maiN to bikhartii hai zaat aur
baaqii hai kitnii ai mere maulaa, ye raat aur !
letii hai jaltii sham’aa bhii bujhne meN kuch to vaqt
hai aadmii saa ko’ii kahaaN be-sabaat aur
sailaab jaise letaa hai diivaar ke qadam
kartaa hai Gham bhii dil se ko’ii vaardaat aur
yuN to huzuur-e-paak (saw) ke laakhoN haiN madda’khvaaN
taa’ib sii likh rahaa hai magar kaun na’at aur
mazhar, az’l ke husn ke “Amjad” haiN be-shumaar
lekin jo dekhiye to hai baarish kii baat aur

aah ko chaahiye ik umr asar hone tak

aah ko chaahiye ik umr asar hone tak 
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak 


daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang 
dekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak 
ashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab 
dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak 
partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim 
mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak 


yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil 
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak 

Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj 
shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak 

zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain


zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain
main to mar kar bhi meri jan tujhe chahunga
tu mila hai to ye ehsas hua hai mujhko
ye meri umr mohabbat k liye thori hai
ik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis par
main ne wo sans bhi tere liye rakh chori hai
tujh pe ho jaunga qurban tujhe chahunga
apne jazbat mein nagmat rachane k liye
main ne dharakan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasawwur bhi judai ka bhala kaise karun
main ne qismat ki lakiron se churaya hai tujhe
pyar ka ban k nigehaban tujhe chahunga
teri har chap se jalte hain khayalon mein chirag
jab bhi tu aye jagata hua jadu aye
tujhako chhu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhko
der tak apne badan se teri khushbu aye
tu bahron ka hai unwan tujhe chahunga

aashiqii be-dilii se mushkil hai


aashiqii be-dilii se mushkil hai 
phir muhabbat usii se mushkil hai 

ishq aaGaaz hii se mushkil hai 
sabr karanaa abhii se mushkil hai 

ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye 
dushmanii dostii se mushkil hai 

jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n 
bevafaa_ii usii se mushkil hai 

ek do duusare se sahel na jaan 
har ko_ii har kisii se mushkil hai 

[sahel=approachable] 

tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar 
vaapasii us galii se mushkil hai 
Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye,
Is Say Behtar Hai K’ Har Baat Bhula Di Jaye..
Mai Ne Apno K’ Rawayon Say Ye Mehsoos Kiya,
Dil K’ Angan Mai B’ Dewaar Utha Di Jaye..
Mai Ne Yaroon K’ Bhicharne Say Ye Seekha ”MOHSIN”
…Apne Dushman Ko B’ Jeene Ke Dua Di JayE



Kaash hum khul k zindagi kartay

Kaash hum khul k zindagi kartay
Umar guzri hai khud kushi kartay
bijlian iss taraf nahi aaiin
warna ham ghar main roshni kartay
kaun dushman teri tarah ka tha
aur ham kis say dosti kartay
ishq ijrat talab na tha warna
hum teray dar pay nokri kartay
iss tamanna main ho gaye roswa
hum b jee bhar k aashqi kartay
hussn aus ka na khul saka muhsin
thak gaye log shayeri kartaY

us ne jab jab bhi mujhe dil se pukaara “MOHSIN“


us ne jab jab bhi mujhe dil se pukaara “MOHSIN“
main ne tab tab ye bataaya k tumhara “MOHSIN“
log sadyon ki khataaon pe bhi khush bastey hain
hum ko lamhon ki wafaaon ne ujaara “MOHSIN“
jab saath tha wo to jeene ko bhi dil kerta tha
ab to pal bhar bhi nahin hota hai guzaara “MOHSIN“
us ka paana to muqadder ki lakeeron main nahin
us ka khona bhi karein kaise gawaara “MOHSIN“..?

Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan ……..!


Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan ……..!
Jaisy Mahtab Ko Bayant Samandar Chahy…….!
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Mein Utray……!
Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Say Hat Kar Chahy…….!
Jaisy Pathar K Kalejay Say Kiran Phootti Hai………
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Say Hina Mangty Hein…
Jaisy Khabon Me Kheyalon Ki Kaman Tootti Hai…..
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein…..
Mera Her Khab Mere Sach Ki Gawahi De Ga……..
Wusat E Deed Ne Tujh Se Teri Khahish Ki Hai……..
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna……….!!!
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki Hai………!!!
Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Nay……..
Teri Palkon Pe Otarti Hue Subhon K Liye….
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Nay….
Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza….
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey….
Mein Ne Chaha K Meray Fun K Gulistan Ki Bahar….
Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey….
Teh Toh Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal!!
Mere Khamosh Kheyalon Mein Takalum Tera……..
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar…..
Meri Khahish K Jazeeron Mein Tabasum Tera…..
Toh Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hue Raton Ko Sehar Kar Na Saki….
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Toh Bhi
Chara E Zakham E Gham E Deeda E Tar Kar Na Saki….
Tujh Ko Ehsas He Kab Hai K Kisi Dard Ka Dagh…
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota Hai….???
Toh K Seemab Tabiyat Hai Tujhy Keya Maloom
Mousam E Hijar Thehar Jaey To Keya Hota Hai??????????
Tu nay Us Morr Pe Torra Hai Taluq K Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan………
Ab Ye Aalam Hai K Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yad Aey Ga Teri Deed Ka Manzar Janan……
Mujh Se Mangy Ga Tere Ohad E Mohabbat Ka Hisab…….!!!
Tere Hijran Ka Dehakta Huwa Mehshar Janan
Youhn Mere Dil K Barabar Tera Ghum Aya Hai……..
Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janan………
Jaisy Mahtab Ko BeAnt Samondar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Jana

KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA


KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN TERY BAGHER UDAAS THA, SO NAHE RAHA
MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA
TERI DASTARAS MEIN THEN BAKH’SHESHEN, SO NAHE RAHEN
MRY LAB PE HARF-E-SPAAS THA, SO NAHE RAHA
MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
KABI MEIN B CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA
MRY BAD NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
WOH JO LATF-E-KHOF-O-HIRAAS THA, SO NAHE RAHA

Qatl kabhi chuptay thay sang kee deevaar ke beech


Qatl kabhi chuptay thay sang kee deevaar ke beech
ab tou khulnay lagay maqtal bharay bazaar ke beech
==
Mein nay iss torr say chaha tujhy aksar jana
Jesay mahtab ko bay-ant sumandar chahay
Jesay soraj ki kiran seep k dil mein utray
Jesay khushbo ko hawa rang say hatt kar chahay
==
Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech
Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech
Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech
Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech
dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech
Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech
Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai



Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai
Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai
*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai…
==
Badla na teray bad b mozo-e-guftago”
“Tu ja chuka hai phir b meri mehfalon mein ha

Wednesday, 14 September 2011

YEHI WADA LIYA THA NA!!!


YEHI WADA LIYA THA NA?? 

HAMESHA KHUSH HI REHNA HAI...

LO DEKHO..DEKH LO AA K

MERI AANKHON KO DEKHO TUM

YE KITNI SHOKH LAGTI HAIN

MERAY HONTON KO DEKHO TUM

HAMESHA MUSKURATAY HAIN

KOI BHI GHAM AGAR AYA

USY HANS KR SAHA MAINE

MERAY CHEHRAY KO DEKHO TUM

HAMESHA PURSUKOON HO GA

KIYA THA MAINE JO TUM SE

WO WADA KARDIYA PURA

MAGAR EK BAAT HAI PYARAY

KABHI JO WAQT MIL JAYE

TO MERI SHAYERI PARHNA

TUMHEN MEHSOOS TO HO GA

KAHIN TALKHI BHARA LEHJA

KAHIN PE DARD KI JHEELAIN

KAHIN LEHJAY KI KRWAHAT

SUNO! MAIN KHUSH TO HON LEKIN SAGAR

MERA HAR LAFZ ROTA HAI..


Pagal Ankhon Wali Larki


pagal aankhon wali larki!
itnay mehangay khawab na dekho -
thak jao gi !!
kanch say nazuk khawab tumharay
toot gaye to 
pachta-o gi !!
soch ka sara ujla kundan 
zabt ki rakh main ghol jaye ga
kachchay pakkay rishto.n ki khooshboo ka resham 
khul jaye ga!
tum kiya jano ?
khawab , safar ki dhoop kay teeshay 
khawab , adhoori raat ka dozakh
khawab , khayalo.n ka pachtawa
khawabo.n ki manzil ruswai !
khawabo.n ka hasil tanhai !!
tum kiya jano?
mehangay khawab khareedna ho.n to
aankahein baichna parti hain ---ya 
rishtay bhoolnay partay hain
andesho.n ki rait na phanko
piyas ki oat sarab na dekho
itnay mehangay khawab na dekho !!
thak jao gi !! 
pagal aankhonn wali larki
itnay mahangay khwab na daikho

Ab kisi aur ki baton say....


______░இஇ█▓░♥___________░இஇஇ█▓░♥
___░இஇஇஇஇ█▓░♥_____░இஇஇஇஇஇ█▓░♥
_░இஇஇஇஇஇஇ█▓░♥_░இஇஇஇஇஇஇஇ█▓░♥
░இஇஇஇஇஇஇஇ█▓░░இஇஇஇஇஇஇஇஇ█▓░♥
░இஇஇஇஇஇஇஇஇ█இஇஇஇஇஇஇஇஇஇ█▓░♥
_░இஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇ█▓░♥
__░இஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇ█▓░♥
____░இஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇ█▓░♥
_______░இஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇ█▓░♥
_________░இஇஇஇஇஇஇஇஇஇஇ█▓░♥
___________░இஇஇஇஇஇஇஇஇ█▓░♥
______________░இஇஇஇஇஇ█▓░♥
_________________░இஇஇ█▓░♥
____________________இ█▓░♥
AB KISI AUR KI BATON SAY BAHELTA HE NHN.......
DIL HAI NADAN SANBHALAY SAY SANBHALTA HE NHN,,,,

TUM MERI KAUN HO??????????


Tum meri kaun ho tum se hay taluk kaisa......
Tum kissi dhund mei lipti hui tanhayi ho.......

Meri shohrat ho, dua ho, meri ruswayi ho,
Baat karti ho kabhi chup mei bikhar jaati ho......

Kyu meri rooh k gosho pe sitam dhaati ho,
Tum meri kaun ho tum se hay taluk kaisa.....

Gungunati ho to mehsoos ye hota hay mujhay,
Jayse daryao k saahil se sada aati ho......

Door jaata hoo to daman se lipat jaati ho,
Paas aata hoo to khaabo mei utar jaati ho.....

Tum mere paas ho na door ho mere dil se,
Tum meri kaun ho tum se hay taaluk kaisa...


Chalo hum maan letay hain


Chalo hum maan letay hain
tumhain fursat nhi milti
kabhi gher ki safai se
kabhi khanay pakanay se
kabhi abbo ki khidmat se
kabhi bhai k kamoon se
chalo hum maan letay hain
tumhain fursat nhi milti
tumhe college bhi jana hai
wahan sakhuoon se milna hai
phir us kay baad gher aa kar
kitaboon se ulajhna hai
chalo hum maan letay hain
yeh sab kuch maan letay hain
magar ik aarzo dil ki
tumhain dil se batatay hian
kabhi fursat milay tumko
to ik lamhay ko aa jana
humain itna bata jana
tumhain humse muhabbat hai
tumhain hum yaad aatay hain
tumharay neend main abb bhi
hamare khaab pultay hain
Yaqeen jano woh ik lamha
her dewaar dha de ga
hamain sadyaan bana de ga.....


Tuesday, 13 September 2011

Log Muntazir Hi Rahay K Humain Toot'ta Dekhay


Log muntazir hi rahay k humain toot'ta dekhein 
Hum zabt kartay kartay pathar k ho gaye 

"Apnay Ehsas Say Chu K Mughay Sandal Kardo"


Apnay ehsas say chu kar mujhay sandal kar do.
main kai sadioon say adhoora hoon mukamal kar do.
na tumhian hosh rahay or na mujhay hosh rahay.
is qadar toot k chahooo mujhay pagal kar do.

tum hatheli ko meray piyar ki mehandi say rango...
apni ankhoon main meray nam ka kajal kar doo..
is k sayay tallay meray khwab dahak uthaian gay....
meray chehray pay chamtka hua anchal kar dooo

dhoop hi dhoop hoon main toot k barsoo mugh per...
is qadar barsoo meri roh main jal thal kar doo...
jaisay sehraoon main har sham hawa chalti hay...
is tarah mugh main challo or mujhay thall kar doo

tum chupa lo mera dil oat main apnay dil ki...
or mujhay meri nighaoon say b oojhal kar doo...
masla hoon to nighahian na churaoo mugh say...
apni chahat say tawajah say mujhay hal kar doo

apnay gham say kaho har waqt meray sath rahay...
aik ahsan karoo is ko musalsal kar do..
mugh pay chha jaoo kisi aag ki surat jana...
or meri zaat ko sukha hua jungle kar do..




Mom Ki Tarha Pighaltay hoey Dekha os ko

Mom ki tarha pighlte howy dekha os ko.... 
Rut jo badli to badlty howy dekha os ko....
Jany kis ghum ko chupany ki tamana hy osy.... 
Aj har bat pr hanste howy dekha os ko..
Wo jo kanton ko b narmi sy chuwa krta tha....
Hum ne pholon ko maslte howy dekha os ko....
Najny wo duaon mein mangta hy kisy...
Hath uthaty hi sisakty howy dekha os ko....

Phir hath dua k liye uthaay hum ne....
Jb muqdar sy uljhty howy dekha os ko.



Manzil Bhi Kho Chuka HooN Safar Bhi Nahi Raha.


Manzil Bhi Kho Chuka HooN Safar Bhi Nahi Raha....
Meri Kisi Duaa Main Asaar Bhi Nahi Raha......


Jab Se Huii Hai Dil Ko Khabar Hijr-e-Yaar Ki....
Tu Kya Chala Gaya Ma Takhayyul Bhi Kho Chuka .....
LafzoN Ko JoRne' Ka Hunar Bhi Nahi Raha.....
Kuch Pass Hi Nahi Hai To Dar Bhi Nahi Raha.....
Aawaaragi Ma Lutf KahaaN Aik Azaab Hai.....
Par Kya Karoonga Loat Ke Ghar Bhi Nahi Raha.....
Gintii Ke Din HaiN Maot Ma Lakin Ye Waq't Bhi......

Kab Se Hi Tham Gaya Hai Ghuzar Bhi Nahi Raha.....
Dafna Do Mujhay Mout Say Pehlay He Dosto.....
Ab Main He Kisi Ka Jan e Jigar He Nhn Raha.....






Wo Aik Larki

‎'Udaas Logon ki Bastion mein.
Wo Titlion ko Talash Kerti..
Wo Aik Larki..Wo Gol Chehra Wo Kali Aankhain..
Jo Kerti Rehti Hazaar Baatain.
Mizaj Saada Wo Dil Ki Achi..
Wo Aik larki.

Wo Mohabbaton K Nisaab Janay.. 
Wo Janti Hai Ehad Nibhanay.. Wo Achi Dost Wo Achi Saathi..
Wo Aik Larki.Wo Jhootay Logon Ko Sacha Samjhay..
Wo Saari Duniya ko Acha Samjhay.
Wo Kitni Saada Wo Kitni Pagli..
Wo Aik Larki














Gham-e-dauran ne bhi seekhey


Gham-e-dauran’ ne bhi seekhey Gham-e-jaana k chalan
wohi sochi hui chalein’ wohi besaKhtapan

wohi iqrar mein inkaar k lakhon’ pehlu
wohi hon’ton’ pe tabassum wohi abaru pe shikan
...
kis ko dekhaa hai k pindaar-e-nazar ke baavasaf
ek lamhe ke liye ruk gai dil ki dharkan

kaun si fasl mein is baar mile hein tujh se
ham ko parvaah-e-gireban’ hey na fikr-e-daman

ab to chubhati hai hava barf ke maidaano ki
un dino jism ke ehasas se jalata tha badan










Ssilsalay tor gia woh sabhi jatay jatay....


Ssilsalay tor gia woh sabhi jatay jatay....
wrna itny to maraasim thay k atay jatay...

shikwa e zulmat e shab se to kahin behtr tha....
apne hisay ki koee shamaa jalatay jatay.....

kitna asaan tha teray hijr main marna jaanaa.....
phir bhi ik umar lagee jaan se jatay jatay....

uski woh janay usay pass e wafa tha k na tha....
tum faraz apni taraf se to nibhatay jatay..............!


Sonu Tum Azm Walay ho

Suno
tum azm walay ho
bala ka zabt rakhtay ho
Tumhen khuch bhi nhn ho ga
mgr
dekho jisay tum chorayjatay ho
usay to theak say shaid
Bicharna bhi nhn ata.....





Monday, 12 September 2011

Suno Ham Dam.......

suno hum dam bht c,
degrian lay kar,
ekhata kar k itna,
ilam daman main,
nisab e chahat e dil k,
chamak tay lafz ankhon say,
agr
parhnay say qasir ho,
to
''anparh ho''



Sunday, 11 September 2011

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

kash main teray haseen hath ka kangan hota

tu baray piyar say chao say baray man kay sath

apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko

aor betaby say furqat kay khiza lamhon main

tu kisee soch main doby jo ghumaty mujh ko

main teray hath ki khushbu say mehak sa jata

jab kabhi mood main akar mujhay chuma karty

teray honton ki main hiddat say dehak sa jata

rat ko jab bhi tu nindh kay safar pay jaty

marmarin hath ka eik takiya banaya karty

main teray kan say lag kar kaii batain karta

tery zulfon ko teray gal ko chumaa karta

mujh ko betab sa rakhta tery chahat ka nasha

main tery roh kay gulshan main mehakta rehta

main teray jism kay angan main khanakta rehta

kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota
kash main teray hansee hath ka kangan hota






itni muddat baad milay ho!


itni muddat baad milay ho!
kin sochon mien gum phirtay ho?
itnay khaif kion rahtay ho?
her aahat say darr jatay ho
taiz hawaa nay mujh say poocha
ait per kia likhtay rahtay ho?
kaash koi hum say bhi poochay 
raat gaye tak kion jagay ho?
mien darya say bhi darta hon
tum darya say bhi gahray ho
kaun si baat hai tum mien aisi 
itnay achay kion lagtay ho?
peechay murr kar kion dekha tha
patthar ban kar kia taktay ho
jao jeet ka jashan manao 
mien jhoota hon tum sachay ho
apnay shahar kay saray logon say 
meri khatir kion uljhay ho
kahnay ko rahtay ho dil mien
phir bhi kitnay duur kharay ho
raat humien kuch yaad nahi tha
raat buhut hee yaad aye ho
hum say na poocho hijar kay qissay 
apni kaho abb tum kaisay ho
Mohsin tum badnaam buhut ho
jaisay ho phir bhi achay ho