aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang
dekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak
ashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak
partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak
yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak
No comments:
Post a Comment