Friday, 16 September 2011

kartaa huN jam’aa maiN to bikhartii hai zaat aur


kartaa huN jam’aa maiN to bikhartii hai zaat aur
baaqii hai kitnii ai mere maulaa, ye raat aur !
letii hai jaltii sham’aa bhii bujhne meN kuch to vaqt
hai aadmii saa ko’ii kahaaN be-sabaat aur
sailaab jaise letaa hai diivaar ke qadam
kartaa hai Gham bhii dil se ko’ii vaardaat aur
yuN to huzuur-e-paak (saw) ke laakhoN haiN madda’khvaaN
taa’ib sii likh rahaa hai magar kaun na’at aur
mazhar, az’l ke husn ke “Amjad” haiN be-shumaar
lekin jo dekhiye to hai baarish kii baat aur

No comments:

Post a Comment