Wednesday, 21 September 2011

Phir kisi yaad ne, raat bhar hai jagaya mujh ko


Phir kisi yaad ne, raat bhar hai jagaya mujh ko
Kiya saza di hai, mohabat ne khudaya mujh ko
Din ko aaram hai na, raat ko hai chain kabhi
Jane kis khaak se, qudrat ne banaya mujh ko
Dukh to yeh hai ke, zamane main milay ghair sabhi
Jo mila hai, woh mila ban ke, paraya mujh ko
Jab koi bhi na raha kandha, mere rone ko
Ghar ki deewaron ne, seene se lagaya mujh ko
Uoon to umeed-e-wafa, tum se nahi hai koi
Phir charaghon ki tarah, kis ne jalaya mujh ko
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko
Woh diya hoon jo, mohabat ne jalaya tha kabhi
Gham ki andhi ne, sar-e-sham bujhaya mujh ko
Kaise bhoolau ga woh, wakt ke lamhe
Yaad aata raha, zulfon ka hi saya mujh ko

No comments:

Post a Comment