kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai...
ke zindagii terii zulfo.n kii narm chaao.n me.n
guzarane paatii to shaadaab ho bhii sakatii thii
ye tiirgii jo merii ziist kaa muqaddar hai
terii nazar kii shuaao.n me.n kho bhii sakatii thii
ajab na thaa ke mai.n begaanaa-e-alam ho kar
tere jamaal kii raanaaiiyo.n me.n kho rahataa
teraa gudaaz badan terii niim-baar aa.Nkhe.n
i.nhii.n hasiin fasaano.n me.n maaho rahataa
pukaaratii.n mujhe jab talKhiyaa.N zamaane kii
tere labo.n se halaawat ke ghuu.NT pii letaa
hayaat chiikhatii phiratii barahanaa-sar, aur mai.n
ghanerii zulfo.n ke saaye me.n chhup ke jii letaa
magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
ke tuu nahii.n, teraa Gam, terii justajuu bhii nahii.n
guzar rahii hai kuchh is tarah zi.ndahii jaise
ise kisii ke sahaare kii aarazuu bhii nahii.n
zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa chukaa huu.N gale
guzar rahaa huu.N kuchh a.njaanii guzar_gaaho.n se
muhiib saaye merii simt ba.Date aate hai.n
hayaat-o-maut ke pur_haul Khaarazaaro.n se
na koii jaadaa na manzil na roshanii kaa suraaG
bhaTak rahii hai Khaalaao.n me.n zindagii merii
i.nhii.n Khalaao.n me.n rah jaauu.Ngaa kabhii khokar
mai.n jaanataa huu.N merii ham-nafas magar yuu.N hii
kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai
No comments:
Post a Comment