Saturday, 15 October 2011

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal


Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-E-Badan Par Mera

Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi
Main Tere Gesu-O-Rukhsar Ka Haqdar Nahi

Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal.......


Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kesay
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise

Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad
Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad

Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal......


Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri

Aur Gairat-E-Ehsaas Pe Sharminda Hun
Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahen Teri

Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal


Ajab Larki Thi

ajab larki thi rehti thi bas khayalon mein
wo zarb karti thi taqseem k sawalon mein

classroom mein pencil talash karti thi
wo bhool jati thi us ko laga k balon mein

us ki ankhon se bazahir thi har ik baat jese
wo band rehti thi dil k hazar taloon mein

wo pyar choton se izzat baron ki karti thi
na mein bachon mein aa saka na umar walon mein

jani ab bhi agar haseenon k chehrey na parhey
to hum ny seekha kiya college k do salon mein.




tumhaare bulaane ko jii chaahataa hai


tumhaare bulaane ko jii chaahataa hai
muqaddar banaane ko jii chaahataa hai 



jo tum aao to saath Khushiyaa.N bhii aaye.n
meraa muskuraane ko jii chaahataa hai 



tumhaarii muhabbat me.n khoyii huii huu.N
tumhe.n ye sunaane ko jii chaahataa hai 



ye jii chaahataa hai ki tumhaarii bhii sun luN
Khud apanii sunaane ko jii chaahataa hai 

as hogii na aasaraa hogaa


as hogii na aasaraa hogaa
aane vaale dino.n me.n kyaa hogaa



mai.n tujhe bhuul jaauu.Ngaa ik din
vaqt sab kuchh badal chukaa hogaa



naam ham ne likhaa thaa aa.Nkho.n me.n
aa.nsuuo.n ne miTaa diyaa hogaa



aasamaa.N bhar gayaa pari.ndo.n se
pe.D ko_ii haraa giraa hogaa



kitanaa dushvaar thaa safar us kaa
vo sar-e-shaam so gayaa hogaa

Karbala......


garmii kaa roz-e-jang kii kyo.n kar karuu.N bayaa.N 
Dar hai ke masl-e-shamaa na jalane lage zabaa.N 
vo luu ke alhazar! vo haraarat ke alamaa.N
ran kii zamii.n to surKh thii aur zard aasmaa.N 

aab-e-Khunak ko Khalaq tarasatii thii Khaak par 
goyaa havaa se aag barasatii thii Khaak par 

vo luu vo aaftaab kii shiddat vo tab-o-taab 
kaalaa thaa rang dhuup se din kaa misaal-e-shab 
Khud nahar-e-alqamaa ke bhii suukhe hue the lab 
Khaime jo the habaabo.n ke tapate the sab ke sab 

u.Datii thii Khaak Khushk thaa chashmaa hayaat kaa 
Khaulaa huaa thaa dhuup se paanii Faraat kaa 

jhiilo.n se chaarapaaye na uThate the ta ba shaam 
maski.n me.n machhalio.n ke sama.ndar kaa thaa maqaam 
aahuu jo kaahile the to chiite siyaah_faam 
paththar pighal ke rah gaye the masl-e-mom khaam 

surKhii u.Dii thii phuulo.n se sabzii gayah se 
paanii kue.n me.n utaraa thaa saaye kii chaah se 

koso.n kisii shajar me.n na gul the na barg-o-baar 
ek ek nakhal jal rahaa thaasuurat-e-chinaar 
ha.Nsataa thaa koii gul na lahakataa thaa sabazaraar 
kaa.NTaa huii thiisuukh ke har shaakh-e-baar Daar 

garmii ye thii kii ziist se dil sab ke sard the 
patte bhii masle-e-cheharaa-e-madquuq zard the 

aab-e-ravaa.N se muu.Nh na uThaate the jaanavar 
ja.ngal me.n chhipate phirate the taair idhar udhar 
mardam the saat pardo.n ke a.ndar araq se tar 
Khas_Khaanaa-e-mizhgaa.N se nikalatii na thii nazar 

gar chashm se nikal kar Thahar jaaye raah me.n 
par jaaye.n laakh aable_paa-e-nigaah me.n 

sher uThate the na dhuup ke maare kachhaar se 
aahuu na muu.Nh nikalate the sabzaazaar se 
aa_iinaa mahar kaa thaa muqaddar Gubaar se 
garduu.N ko tap cha.Dii thii zamii.n ke bukhaar se 

garmii se muztarib thaa zamaanaa zamiin par 
bhun jaataa thaa jo girataa thaa daanaa zamiin par 

girdaab par thaa sholaa-e-javaalaa kaa gumaa.N 
a.ngaare the habaab to paanii sharar fishaa.N 
muu.Nh se nikal pa.Dii thii har ek maujkii zabaa.N 
tah par the sab niha.ng magar thii labo.n pe jaa.N 

paanii thaa aag garmii-e-roz-hisaab thii 
maahii jo siikh-e-mauj tak aa_ii kabaab thii 

aa_iinaa-e-falak ko na thii taab-o-tab kii taab 
chhipane ko barq chaahatii thii daaman-e-sahaab 
sab ke sivaa thaa garm mizaajo.n ko iztiraab 
kaafuur-e-subah Dhuu.Ndhataa phirataa thaa aaftaab 

bha.Dakii thii aag gumbad-e-charkh-e-asiir me.n 
baadal chhipe the sab kurrah-e-zamharir me.n 

na Gubaar men na gulaab men mujhe dekhanaa

na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa

mere dard kii aab-o-tab me.n mujhe  dekhanaa 

kisii vaqt shaam malaal me.n mujhe sochanaa 
kabhii apane dil kii kitaab me.n mujhe dekhanaa 

kisii dhun me.n tum bhii jo bastiyo.n ko tyaag do 
isii rah-e-Khaanaa_Kharaab me.n mujhe dekhanaa 

kisii raat maah-o-najuum se mujhe  puuchhanaa 
kabhii apanii chashm pur_aab me.n mujhe  dekhanaa 

isii dil se ho kar guzar gaye ka_ii kaaravaa.N 
kii hijrato.n ke zaab me.n mujhe  dekhanaa 

mai.n na mil sakuu.N bhii to kyaa huaa ke fasaanaa huu.N 
na_ii daastaa.N naye baab me.n mujhe dekhanaa 

mere Khaar Khaar savaal me.n mujhe Dhuu.NDhanaa 
mere giit me.n mere Khvaab me.n mujhe  dekhanaa 

mere aa.Nsuo.n ne bujhaa_ii thii merii tashnagii 
isii barg_ziidaa sahaab me.n mujhe  dekhanaaa 

vahii ik lamhaa diid thaa ke rukaa rahaa 
mere roz-o-shab ke hisaab me.n mujhe  dekhanaa  

jo ta.Dap tujhe kisii aa_iine me.n na mil sake 
to phir aa_iine ke javaab me.n mujhe  dekhanaa 

apane Khvaabon men tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa

apane Khvaabo.n me.n tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa

aa.Nkh khulate hii tujhe Dhuu.NDhane nikalaa hogaa

zindagii sirf tere naam se mansuub rahe
jaane kitane hii dimaaGo.n ne ye sochaa hogaa


dost ham us ko hii paiGaam-e-karam samajhenge
terii furqat kaa jo jalataa huaa lamhaa hogaa


daaman-e-ziist me.n ab kuchh bhii nahii.n hai baaqii
maut aa_ii to yaqiinan  use dhokaa hogaa

raushanii jis se utar aa_ii lahuu me.n mere
ai masiihaa vo meraa zaKhm-e-tamannaa hogaa

Taraptay hain na rotyay hain.......


ta.Dapate hai.n na rote hai.n na ham fariyaad karate hai.n 
sanam kii yaad me.n har-dam Khudaa ko yaad karate hai.n 

unhii.n ke ishq me.n ham naalaa-o-fariyaad karate hai.n 
ilaahii dekhiye kis din hame.n vo yaad karate hai.n 

shab-e-furqat me.n kyaa kyaa saa.Np laharaate hai.n siine par 
tumhaarii kaakul-e-pechaa.N ko jab ham yaad karate ha
n 

har haqiiqat majaaz ho jaaye


har haqiiqat majaaz ho jaaye
kaafiro.n kii namaaz ho jaaye

minnat-e-chaaraasaaz kaun kare
dard jab jaa.N navaaz ho jaaye

ishq dil me.n rahe to rusavaa ho
lab pe aaye to raaz ho jaaye

lutf kaa intazaar karataa huu.N
jor taa hadd-e-naaz ho jaaye

umr besuud kaT rahii hai 'Faiz'
kaash afshaa-e-raaz ho jaaye

Main naheen maanta

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Main bhee kha’if naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.




Main Tanha tha tanha hi chalta raha


Waqt apni rawani main
dhalta raha
Main Tanha tha tanha hi chalta raha
Kabhi hansta tha apny Nasibon Py main,
Kabhi Andar hi andar men Jalta raha,
Kahin Shikwy mily aur
kahin Thokren,
Choten aesi lagi k
sanbhlta raha,
Us ko Pany ki khatir to
sub kuch kiya,
Wo hi Sang-Dil tha rasty Badalta raha..ii

Mujhay Teri Muhabbat Ka Sahara Mil Gia Hota


dilshad tha ke phul khilenge bahar mein
mara gaya garib isi aitbar mein
(mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota - (2)
agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota) - 2
mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

na tha manzur kismat ko, na thi marzi baharo ki
nahi to is gulistan mein - 2, kami thi kya nazaro ki
meri nazaro ko bhi koi nazara mil gaya hota
agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota

mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
khushi se apni aankho ko main ashko se bhigon leta
mere badle tu has legi - 2, tere badle main ro leta
mujhe ae kash tera dard sara mil gaya hota
agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota

mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
mili hai chandni din ko, yeh unki apni kismat hai
mujhe apne muqaddar se - 2, faqat itni shikayat hai
mujhe tuta hua koi sitara mil gaya hota
agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota
mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota


Mohabbat Jhoot Hai.......


Mohabbat Jhoot Hai
Ehd-e-Wafa Ik Shughal Hai Beqaar Logon Ka
Talab Sukhe Hue Patton Ka Ronaq Jazeera Hai
Khalish Deemak Zyada Aoraq Par Boseeda Satron Ka Zakheera Hai
Khumar_e_Wasal
Tapti Rait Ke Seene Pa Udte Baadlon Ki Rai-gan Bakshish
Ghubar-e-Hijr Sehra Mein Sarabon Se Aate MAusam ka Khamyaza


Ke Abtak Mai Andheron Ki Dhamak Mein Saans Ki Zarbon pe
Chahat Ki Bina Rakh Kar Safar Karti Rahungi
Mujhe Ehsaas hi Kab Tha
Ki Tum Mausamo Ke Tarah Rang Badalte Rahoge

Wo Saare Khwab Kachi Bhurbhuri Mitti Ke Beqeemat Gharaonde The
Wo Saare Zaike Meri Zuban par Zakhm Bankar Jum Gaye Hai
Tumhari Ungliyon Ki Narm Poorein Pathron Par Naam Likhti Thi Mera Lekin
Tumhari Ungliyan Tou Aadatein Yeh Jurm Karti Thi

Mera Hona Na Hona Ek Barabar Hai
Tum Apne Khaal-o-Khad Ko Aaine Mein Phir Nikharne Do
Tum Apni Aankhon Ki Basti Mein Phirse Naye Mausam Utarne Do
Mere Khwabon Ko MArne Do Nayi Tasveer Dekho 
Phir Naya Maktoob Likho
Phir Naye Mausan Naye Lafzon Se Apna Silsila Joro
Mere Mazi Ki Chahat Rai'gan Samjho
Meri Yaadon Se Kache Rabte Toro

Mohabbat Jhoot Hai
Ehd-e-Wafa Ek Shughal Hai Beqaar Logon Ka


Friday, 14 October 2011

yeh kaagazi phool jaise chehre`

yeh kaagazi phool jaise chehre`
mazaaq urraate` hain aadmi ka
inhain koi kaash yeh bataa de`
maqaam ooncha hai saadgi ka

inahan bhala zakhm ki khabar kya
keh teer chalte huwe na dekha
udaas aankhon main aarzoo ka khoon jalte hue na dekha
andhera chaaya hai in ke aage haseen nafrat ki roshni ka

yeh kaagzi phool.........

yeh sehn-e-gulshan main jab gaye hain bahaar hi loot le gaye hai
jaahan gaye hain yeh do dilon ka qaraar hi loot le gaye hain
ke dil dukhana hai in ka sheva inhain na irsaaq** kab kisee ka
yeh kaagazi...........
main jhoot ki jagmagati mehfil main aaj sach bolne laga
main ho ke majboor apne geeton main zehr phir gholne laga hoon
yeh zehr shayad urraadeh nasha ghuroor main doobi zindagi ka

yeh kaagazi phool jaise chehre`
mazaaq urraate` hain aadmi ka
inhain koi kaash yeh bataa de`
maqaam ooncha hai saadgi ka

yeh kaagazi phool jaise chehre`




Thursday, 13 October 2011

Bol hawa us par zamanay kesay hy

Bol hawa us par zamanay kesay hy

Ujray shaher main yaar puranay kesay hy


Chand utra hy ab kis kis ky aangan main

Kerno sy marhoom gharanay kesay hy


Lab basta darwazon per kiya beet gai

Galion sy mansob fasanay kesay hy


Jin ki jhurmat main shamay dum toor gai

Woh piyaray pagal parwanay kesay hy


Yaro hum to khair khabar sy bhi guzray

Apnay rothay Yaar na janay kesay hy






terey paas aane ko jee chahata hai

terey paas aane ko jee chahata hai
naye zakhm khane ko jee chahata hai
zamana mera aazmaya huwa hai
tujhey aazmane ko jee chahata hai
wahi baat reh reh k yaad aa rahi hai
jisey bhool jane ko jee chahata hai
labo`n par merey khailtey hain tabassum
jab aansoo bahane ko jee chahata hai
takalluf na kar aaj barq e tajalli
nasheman jalaney ko jee chahata hai
rukhey zindagi se naqabain ulat karr
haqiqat dikhane ko jee chahata hai


Meri Neend Uraati Thi Bahut,


Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut,
Her Ghari Wo Dekh kar Muskurati Thi Bahut,
Chor Hi Dena Pada Ghabra kar Us k Shaher Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujh ko Rulati Thi Bahut,
Apni Baahon Me Jab Jakar Leti The Ranjo Alam,
Aa k Ek Andaaz Me Mujh ko Hansaati Thi Bahut,
Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehti Na Thi,
Dusron K Pyaar Ke Qissey Sunati Thi Bahut,
Chahti Thi Sirf Meri Hi Nazar Us per Parey,
Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut,
Din To Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Mein,
Raat Me Lekin Wo Mujh ko Yaad Aati Thi Bahut.

Kisi Ne Kaha Phool Se Ki


Kisi Ne Kaha Phool Se Ki,
Mujhko Bata tu Aaj Tak kyon Khilta Raha,
Tune To Di Sabko
Khushbu Tujhko kya Milta Raha?
Phool Ne Muskura Kar Kaha ,
Abhi Tu Nadan Hai .
Jiwan K Sachey Pyar Se ,
Abhi Tu Anjan Hai .
Dene K Badle Kuch Lena ,
Wo To Ek Karobar Hai .
Jo De Kar Bhi Kuch Na Mange,
Wo Hi Sacha Pyar hai

Karb Mein Guzri


Ajeeb karb mein guzri jahaan jahaan guzri
Agerchay chahnay waalon kay dermiyan guzri..P
Tamaam umar jalaatay rahay chiraagh-e-umeed
Tamaam umar umeedon kay dermiyan guzri..P
Guzer gai jo teray saath yaad-gaar hai wo
Tere baghair jo guzri balaa-e-jaan guzri..P
Mujhay sukoon mayassar nahi to kiya ghum hai
Gulon ki umar to kaanton kay dermiyaan guzri..P
Ajeeb cheez hai yeh gerdish-e-zamaana bhi
Kabhi zameen pay kabhi misl-e-aasmaan guzri..P

Bandagi Ki Aisi Misal


Wo bandagi ki aisi misal deta hai,
Aawargi ko shariyat me dhaal deta hai.
Wo khush qalaam hay is darja baat karny me,
K harf harf ko husn-o-jamal deta hai.
Main uska sath jo mangon zindagi bhar ko,
Baray haseen tareeqy sy taal deta hai.
Ye jaan kar B k mera wo ho nahi sakta,
Wo dekhta hai yun?
Shash-o-Panj me daal deta hai.
Sawal jaisy k pnaah mangtay hon aankhon sy,
Jawab aankhon se aisy kamaal deta hai.

Koii ham-nafas nahii


Koii ham-nafas nahii. na hai koii raazadaa. nahii hai
faqat ik dil thaa apanaa so vo meharabaa. nahii hai
kisii aur Gam me.n itanii Khalish-e-nihaa. nahii hai
Gam-e-dil meraa rafiiqo Gam-e-raayegaa. nahii hai
merii ruuh kii haqiiqat mere aa.Nsuo.n se puuchho
meraa majalisii tabassum meraa tarjumaa. nahii. hai
kisii aa.Nkh ko sadaa do kisii zulf ko pukaaro
ba.Dii dhuup pa.D rahii hai ko_ii saayebaa. nahii hai
inhii.n pattharo.n pe chal kar agar aa sako to aao
mere ghar ke raaste me.n ko_ii kahakashaa nahii hai

Hum Ko Acha Laga


Hum Ko Acha Laga
Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga
Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga
Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga
Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga
Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga
Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha lagaP

Suna Hay Jana


Suna Hay Jana ......
December Aanay Wala Hay
Tum Us Say Kehna..
Ab Keh Udaas Nahi Hona
Ab Tu Mohabbat Kay Sab Hi Taqazay Pooray Hain
Ab Tu Hamari Saansay ...
Ak Dosray Ki Saanso Say Chalti Hain
Hamaray Dil Tu Ab Jaana
Ak Doojay Kay Seenay Main Dharaktay Hain
Usay Kehna
Main Nay Apnay Sab Sapnay
Teri Aankhon Main Bou Diye Hain
Ab Hamari Neenday
Hamaray Rat-Jagay Bhi Sanjhay Hain
Ham Ak Saath Ab
Ak Jesay Khowabo Main Utartay Hain
Usay Kehna
Ager-chy ...
Chaar-so Nazro Kay Hazaro Pehray Hain
Lakin ...
Ham Ak Doojay Main Magan Esay Keh
Ham Ab Zamanay Say Nahi Dartay Hain Jaana
Usay Kehna
Ham Mohabbat Kay Samandar
Main Ab Ak Saath Utar-tay Hain
Mohabbat Kay Geet Gaatay Hain
Wafa Kay Phool Chumtay Hain
Ham Akelay Bhi Hon Tu
Kabhi Tanha Nahi Hotay
Ab Tu Hijar Main Bhi
Wisaal Ka Sama Rehta Hay
Jaana Ab Kay
Tum DECEMBER Say Kehna
Ab Kay Udaas Nahi Hona..
Ab Tu Mohabbat Kay Sab Hi Taqazay Pooray Hain..
----------
Pucho na haqiqat mere fasane ki
Tere jate hi badal gayi nazar zamane ki
Sab puchte hain main khush kyon nahi
Kya karun meri to aadat thi tere sang muskurane ki
Tune saath kya choda mera aashiyan bikhar gaya
Haath kya choda, mera baaghban ujhar gaya
Sab kehte hain khushiyan mango
Khuda jaroor dega
Par kya karun? Ab to neeyat hi nahi hai
Kuch pane ki
Jab saath the to socha na tha
Ki ek din bichad jayenge
Tujhse wada jarror kiya tha
Ki tere bin hum bhi mar jayenge
Par kya karun? Ab to himmat nahin hai
Koi waada nibhane ki .

Har Pal Woh Mujhko Takta Thi


Har Pal Woh Mujhko Takta Thi
Ankh Main Uski Masti Thi
Woh Baat Baat Per Hansti Thi
Har Rooz Woh Roop Badalti Thi
Har Roop Main Achi Lagti Thi
Jab Dil Main Aag Bharakti Thi
Jab Meri Taraf Woh Bharrti Thi
Deedar Ko Deed Tarasti Thi
Fursat Main Aankh Barasti Thi
Woh Jab Bhi Mujh Se Milti Thi
Ye Zalim Duniya Jalti Thi
Pyar Woh Mujh Se Karti Thi
Izhar Se Lekin Darti Thi..!!

Tum Se Ummeed-e-Wafa Kaisi?


Tum Se Ummeed-e-Wafa Kaisi?
Talluq Toot Jaye Jab
Muhabbat Rooth Jaye Jab
To Phir Rasm-e-Dua Kaisi?
Milan Ki Iltija Kaisi?
Bhanwar Mein Dolti Kashti Pe Sahil
Ki Tamanna Kya?
Ukharti Saans Hoon To Zindagi Ki
Aarzoo b Kya?
Jo Manzil Kho Chuki Hay Uss Ki Phir
Se Justaju b Kya?
Raza-e-Dost Par Acha,Sar-e-
Tasleem Kham Karna
Sisaknay Se Yehi Behtar Hay Na
Ummeed Hi Marna
Magar Dil Ne Tumhein Kis Wastay
Yaad Rakha Hay?
Tumhein Kiun Shairi Mein Aaj Tak
Aabad Rakha Hay?
Abhi Tak Main Ne Kiun Khud Ko
Bohat Barbad Rakha Hay?
Hawa k Dosh Par Kiun Naghma-e-
Faryad Rakha Hay?
Judai Denay Walay Aashnayii Ki
Qasam Tum Ko
Tumhari BeWafayii Kuj Adayii Ki
Qasam Tum Ko
Mujh Ko Itna Bata Dena
Wafa Ki Chahtoon Ki Mashalein
Kaisy Bujhatey Hain?
Nishan Kaisy Mitatey Hain?
Bhulana Ho Jinhein
Un Ko Bhala Kaisy Bhulatey Hain?
Judaii Denay Walay....... !!!


Bohot masroof lamhoon mein


Bohot masroof lamhoon mein
kabhe ik pal ko socho to
koi kitna akela hay
kisi ki zindagi tum ho
kisi ki bandagi tum ho
kisi ko teri khwahish hay
kisi ki chahatain tum ho
kabhe ik pal ko socho to
tumhara la parwai ne
tumhari be niazi ne
tumhari be wafai ne
kisi ko maar dala hay
koi zinda to hay lakin
faqat wo saans leta hay
kabhe ik pal ko socho to
koi kitna akele hay..

Monday, 10 October 2011

Tuune dekhaa hai kabhii ek nazar shaam ke baad


Tuune dekhaa hai kabhii ek nazar shaam ke baad
kitane chup-chaap se lagate hai.n shajar shaam ke baad

itane chup-chaap ke raaste bhii rahe.nge laa-ilm
chho.D jaaye.nge kissi roz nagar shaam ke baad

mai.n ne aisee hii gunaah terii judaa_ii me.n kiye
jaise tuufaan me.n ko_ii chho.D de ghar shaam ke baad

shaam se pahale vo mast apanii u.Daano.n me.n rahaa
jis ke haatho.n me.n the TuuTe hue par shaam ke baad

raat biitii to gine aable aur phir sochaa
kaun thaa baa_is-e-aaGaaz-e-safar shaam ke baad

tuu hai suuraj tujhe maaluum kahaa.N raat kaa dukh
tuu kisii roz mere ghar me.n utar shaam ke baad

lauT aaye na kissi roz vo aavaaraa majaaz
khol rakhate hai.n isii aas pe dar shaam ke baad



Kabhi Jo Cheirr Gai Yaad'e'Raftagan Mohsin!

Kabhi Jo Cheirr Gai Yaad'e'Raftagan Mohsin!
Bikher Gai Hain Nigahein Kahan Kahan Mohsin !

Hawa Ne Raakh Urayee To Dil Ko Yaad Aaya....
K Jal Bujhain Mere Khawabon Ke Bastiyaan Mohsin !

Kuch Aisay Gher B Mile Jin Main Ghonghaton K Aawaz..
Hoi Hain Dafan Dopaton Main Larkiyaan Mohsin......!

Khun'der Hai Ehud'e'Guzishta Na Chu Na Chair Esay.....
Khulain To Band Na Hoon Is Ki Khirkiyaan Mohsin...!

Bujha Hai Kaun Sitara K Apni Aankh K Sath....
Howey Hain Sare Manazir Dhowan Dhowan Mohsin...!

Nahi Keh Us Say Ganwa Hain Maah'o'Saal Apne....!!
Tamam Umer Kati Yun Bhe Ra'ye'gaan Mohsin....!

Mila To Aur Bhe Taqseem Ker Gaya Mujh Ko....!!!
Sameetna Then Jisay Meri Kirche'yaan Mohsin.....!

Kahe Say Us Nay B Tora Hai Khud Say Rabt'e'Wafa
Kahe Say Bhool Gaya Main B Dastaan !Mohsin!


kuch faisala to ho k kidhar jana chahiye
pani ko ab to sar se guzar jana chahiye

har bar aeriyon pe gira hai mera lahu
maqtal main ab ba-tarz-e-digar jana chahiye

kya chal saknge jin ka faqat mas'la ye hai
jane se pahle rakht-e-safar jana chahiye

sara jwar-bhata mere dil main hai magar
ilzam ye bhi chand k sar jana chahiye

jab bhi gaye azab-e-dar-o-bam tha wahi
akhir ko kitni der se ghar jana chahiye

tohamat laga k man pe jo dushman se dad le
aise sukhanfarosh ko mar jana chahiye


Monday, 26 September 2011

Waqt Acha Bhi Aye Ga Nasir

                                                  Waqt acha bhi aye ga nasir
                                                  gham na kar zindagi pari hai abhi





Saturday, 24 September 2011

Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa


Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa
aa phir e mjhy chor k jany k liye aa
pehly se marasim na sahi phir b kabi to
rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa
kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa
ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden
ye aakhri shammen b bujhany k liye aa

Thi un ki zid k main jaaoun un ko manane


Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz
Kamal ki Ghazal tum ko sunayein Gay kisi roz
Thi un ki zid k main jaaoun un ko manane
Mujh ko ye veham tha wo bulayein Gay kisi roz
kabi b maine to socha b nahi tha
Wo itna mere dil ko dukhayein Gay kisi roz
Har roz Sheshay se yehi poochta hoon main
Kia rukh pe tabassum sajayein Gay kisi roz
Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout AAyein Gay kisi roz
Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakhum-e-jigar tamaam log dekhein Gay kisi roz

Dukh fasana nahi k tujh se kahain


Dukh fasana nahi k tujh se kahain
Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,
Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kahain,
Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost
Aab o daanaa nahi k tujh se kahain
Be tarah haal e dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kahain
Qasidaa hum faqeer logon ka
Ek thikana nahi k tujh se kahain
Ab to barson se us gali men FaRAZ
Aana jaana nahi k tujh se kahain

Sab apane apanee qarine se muntazir us ke


Ye kyaa ke sab se bayaan dil ki haalaten karani
`Faraz` tujh ko na aain muhabbaten karani
Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hamen
Shumaar abhi se judaai ki sa`aten karani
Koi khudaa ho ke patthar jise bhi ham chaahen
Tamaam umr usi ki ibaadaten karani
Sab apane apanee qarine se muntazir us ke
Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani
Ham apane dil se hain majabuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani
Milen jab un se to mubaham si guftaguu karanaa
Phir apane aap se sau-sau vazaahaten karani
Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain
Hamin ko raas na aain muhabbaten karani
Kabhi `faraz` naye mausamon men ro denaa
Kabhi talaash puraani raqaabaten karani…!!!

Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho


Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho
Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho
Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho
Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho
Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho
Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho
Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho

Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain


Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain
Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
Ab vahi log hamain abalapa kahte hain
Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain
Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain
Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain
Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘faraz’
Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

Wednesday, 21 September 2011

faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa

faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa

saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa 

vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu 
mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa 

raat bhar us kii hii aahaT kaan me.n aatii rahii 
jhaa.Nk kar dekhaa galii me.n ko_ii bhii aayaa na thaa

aks to maujuud the par aks tanahaa_ii ke the 
aa_iinaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa 

aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye 
aaj mai.n royaa to mere saath vo royaa na thaa 

ye sabhii viiraaniyaa.N us ke judaa hone se thii.n 
aa.Nkh dhu.Ndhalaa_ii hu_ii thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa 

yaad karake aur bhii takaliif hotii thii "Adeem" 
bhuul jaane ke sivaa ab ko_ii bhii chaaraa na thaa 





Intazar


chaa.Nd maddham hai aasmaa.N chup hai
nii.nd kii god me.n jahaa.N chup hai

duur vaadii me.n duudhiyaa baadaal
jhuk ke parbatko pyaar karate hai.n
dil me.n naakaam hasarate.n lekar
ham teraa i.ntazaar karate hai.n

in bahaaro.n ke saaye me.n aa jaa
phir mohabbat javaa.N rahe na rahe
zindagii tere naa-muraado.n par
kal talak meharabaa.N rahe na rahe

roz kii tarah aaj bhii taare
subah kii gard me.n na kho jaaye.N
aa tere Gam me.n jaagatii aa.Nkhe.n
kam se kam ek raat so jaaye.N

chaa.Nd maddham hai aasmaa.N chup hai
nii.nd kii god me.n jahaa.N chup hai

sazaa kaa haal sunaaye jazaa kii baat kare.n



sazaa kaa haal sunaaye jazaa kii baat kare.n
Khudaa milaa ho jinhe.n vo Khudaa kii baat kare.n

unhe.n pataa bhii chale.n aur vo Khafaa bhii na ho
is ehatiyaat se kyaa mazaa kii baat kare.n

hamaare ahad kii tahaziib me.n qabaa hii nahii.n
agar qabaa ho to band-e-qabaa kii baat kare.n

har ek daur kaa mazahab nayaa Khudaa laataa
kare.n to ham bhii magar kis Khudaa kii baat kare.n

vafaa_shiyaar ka_ii hai.n ko_ii hasii.n bhii to ho
chalo phir aaj usii bevafaa kii baat kare.n

kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai...


kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai... 
ke zindagii terii zulfo.n kii narm chaao.n me.n
guzarane paatii to shaadaab ho bhii sakatii thii
ye tiirgii jo merii ziist kaa muqaddar hai
terii nazar kii shuaao.n me.n kho bhii sakatii thii 

ajab na thaa ke mai.n begaanaa-e-alam ho kar
tere jamaal kii raanaaiiyo.n me.n kho rahataa
teraa gudaaz badan terii niim-baar aa.Nkhe.n
i.nhii.n hasiin fasaano.n me.n maaho rahataa 

pukaaratii.n mujhe jab talKhiyaa.N zamaane kii
tere labo.n se halaawat ke ghuu.NT pii letaa
hayaat chiikhatii phiratii barahanaa-sar, aur mai.n
ghanerii zulfo.n ke saaye me.n chhup ke jii letaa 

magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
ke tuu nahii.n, teraa Gam, terii justajuu bhii nahii.n
guzar rahii hai kuchh is tarah zi.ndahii jaise
ise kisii ke sahaare kii aarazuu bhii nahii.n 

zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa chukaa huu.N gale
guzar rahaa huu.N kuchh a.njaanii guzar_gaaho.n se
muhiib saaye merii simt ba.Date aate hai.n
hayaat-o-maut ke pur_haul Khaarazaaro.n se 

na koii jaadaa na manzil na roshanii kaa suraaG
bhaTak rahii hai Khaalaao.n me.n zindagii merii
i.nhii.n Khalaao.n me.n rah jaauu.Ngaa kabhii khokar
mai.n jaanataa huu.N merii ham-nafas magar yuu.N hii 

kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai 


Wo Mujhe Mehndi Lage Hath Dikha Kar Royi..!!

Wo mujhe mehndi lage hath dikha kar royi..
 Main kisi or ka hun itna bara kar roy


wo mujhe mehndi lage hath dikha kar royi..
Umer bhar ki judai ka khayal aya tha shayad,



woh mujhe pass apne dair tak bitha kar royi..
Aab k na sahi zaroor hashar main milain ge,


yakja honey k dilase dila kar royi...
Mujh se zayda bicharne ka ghum usey tha,


waqt-e-rukshat wo mujhe seenay se laga kar royi...

Main be-kasoor hun,qudrat ka faisla hai yeh,
lipat k mujh se bus wo itna baata kar royi...
Mujh pe ik kurab ka toofan ho gya hai,


jab mere samne mere khat jala kar royi...

Meri nafrat or adawat pighal gayi ik pal main,
wo be-wafa hai to kyun mujhe rula kar royi...

 Sab shikwe meray ik pal main badal gaye,
jheel si ankhon main jab ansu saja kar royi...




Wafaa K Waday Wo Sare Bhola Gaya Chup Chap


Wafaa K Waday Wo Sare Bhola Gaya Chup Chap
Wo Mere Dil Ki Dewarein Hila Gaya Chup Chap
Gham-E-Hiyat K Tapte Hove Biyabaan Mein
Hame Wo Chorr K Tanha Chala Gaya Chup Chap
Na Jane Kon Sa Wo Bad-Naseeb Lamha Tha
Jo Gham Ki Aag Mein Mujh Ko Jala Gaya Chup Chap
Mein Jiss Ko Chota Hun Eshrat Wo Zkhim Dita Hai
Wo Phool Ase Chaman Mein Khila Gaya Chup Chap
Wafaa K Waday Wo Sare Bhola Gaya Chup Chap
Wo Mere Dil Ki Dewarein Hila Gaya Chup Chap

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko


Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sulla Deh Mujh Ko
Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko
Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko
Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko
Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko
Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko
Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko
Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko
Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko
Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko