Saturday, 15 October 2011

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal


Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-E-Badan Par Mera

Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi
Main Tere Gesu-O-Rukhsar Ka Haqdar Nahi

Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal.......


Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kesay
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise

Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad
Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad

Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal......


Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri

Aur Gairat-E-Ehsaas Pe Sharminda Hun
Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahen Teri

Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal


1 comment:

  1. Hello

    This is webmaster of songarea.com. Please remove the non-working songarea widget from your site and grab a new one without links today. Because this widget is old (with harmful links) and violating the google webmaster guidelines. Please reach me from my gmail if you need proof of ownership for songarea.

    let me know please,
    thanks a lot.

    ReplyDelete