Saturday 24 September 2011

Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho


Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho
Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho
Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho
Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho
Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho
Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho
Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho

No comments:

Post a Comment